ek ajeeb si bebabsi si hain is ..maan main
kya kyon kasie kab pata nahin hazaroo sawalo se ghira padha hoon
ladh ke jhagad ke ek se chutkara pata hoon to aur 2-4 se khud ko ghira pata hoon
kabhi shant nahin reh pata hian ye man bas yahi bebasi hain
yeh zindagi mukammal nahin hain , bas kis pardarshi sheeeshe ki botal main fasi hain
sab dikhta hain sheeshe ke bahar kya hota hain ..par use mehsoos nahin kar sakta hoon
is sheeshe ki botal ko tod kar bahar nikal nahin pata hoon
chahta hoon chahe mujhe koi par ..yeh dewar si bani hain beech main
sab ke maan ki sun leta hoon, ladte raho date rahoo unki uljhan ko suljhata hoon
khud na jane ek uljhan aane pe kitna ulajh jata hoon, date rehne ka soch bhi nahin pata hoon
main bhi kisi ke mooh se date raho main hoon na...sunna chahta hoon par har baar bas main hi logo ko date rehna kehta jata hoon
na jane apne uljhano main khud kyon uljha jata hoon, apne man ke hal ko suntae waqt khud ko tanha pata hoon
zindagi main kuch kamaya nahin bas gawaya hain, mere liye har rishta yahan bas paraya hain
zindagi vileen hain pardashi sheeshe ki botal main tanha hain
zindagi bas zinda hain...bas Zindaa hain.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
the poison in me
- Biren
- Bhilai/Kota/Mumbai, Chattisgarh/Rajasthan/Maharashtra, India
- I AM A Restless soul a dreamer .....wanna be the best ... ....singing,,, talking ,,,, chatting ,,,,, photography ,,, Sketching ...trekking. DRAMATICS (ACTING/Writing/Direction)....etc etc...these things define me ! Peace! Change the world
No comments:
Post a Comment