meri ek hansi ke liye, apne hazaro dard chupati hain meri maa,
man main hi ro leti hai,mujhe khus dekhne ke liye hasti jati hain meri maa
girta hoon jabh bhi,mujhe sambhalti hain sahara deti ahin meri maa
har din mujhpe pyar lutati hian,kuch naya siklati hain meri maa
kabhi dant ke mujhe kabhi maar kar, khud hi ro padhti hain meri maa
zindagi haans ke jeena,aage badna,darna nahin sikhlati hain meri maa
koi dukh aata hian to deevar si ban jaati hain meri maa
galat kadam badata hoon kabhi to samjhati hain mujhko meri maa
door rehkar bhi usse gar yaad na karoon main use
fir bhi yaad mujhe karti hain meri maa
mujhse pyar itna karti hai ki badle main kuch chahti nahi hain meri maa
is duniya main sabse pyari hain,sabsi aachi ahin meri maa !
Biren
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
the poison in me
- Biren
- Bhilai/Kota/Mumbai, Chattisgarh/Rajasthan/Maharashtra, India
- I AM A Restless soul a dreamer .....wanna be the best ... ....singing,,, talking ,,,, chatting ,,,,, photography ,,, Sketching ...trekking. DRAMATICS (ACTING/Writing/Direction)....etc etc...these things define me ! Peace! Change the world
No comments:
Post a Comment