
nakab pe nakab hain, nakab behisaab hian,
har chere ke liye..,mere pass, ek nakab hian;
har waqt chre par ek nakab rakhta hoon,
na jane aapna asli chhehra dikhane se kyon darta hoon;
har insaan, har pal ke liye chehre pe ye nakab aata hain,
kisi bhi naye Rishte ke liye ek nakab khud hi jud jata hain;
nakab par nakab chad jata hain,
mera chehra, na jane, in sab main Kahan kho jata hain;
darpan main bhi khud ke liye ek nakab nazar aata hian,
yeh chera na jane kitne nakab chadhata hian;
in nakabo main meri zindagi kho gayi hian kahin
aab too main khud ke liye "MAIN" sa nahin.
###################################
Biren:)
No comments:
Post a Comment